|
Tab tum mere paas aana
Jab dil mein nafrat ki chot lagi ho to
ristha bilkul nakam hogaya ho to
duniya mein koi tumhara na raha ho to
Tab tum mere paas aana
Sitaron mein doondhte kahi kho gaya to
Chandni raat bhi na bhaaye to
Dil ki awaaj sunne ko koi na ho to
Tab tum mere paas aana
Jab pyaar mein ghaayal ho jao to
Chehre pe Aansoo bahne lage ho to
Rone ko bhi man lagta nahi ho to
Tab tum mere paas aana
Jab aasmaan ke laal rang pareshaan karte ho
Aaine mein roop badsurat dikhta ho
Is jahaan se kahi door bhagna chahte ho
Tab tum mere paas aana
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Suren! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|