|
Naa jaane kyon uthi aaj tumhari yaad
par tum to nahi ab kisse kare fariyaad
Tumse milna aur bichadna
dard-e-dil bataoun kaise hai jo behisaab
kaash ke ek baar jo tum aa jate
wafa na sahi, bewafai to bataate
Bhool hui ho hamse bhi shayad
roothe the tum,hum mana le aate
Kya kahte hum tumse apna
tumhara bhi tha kuch to kehna
Haathon se haath jab se chhoote
bikhar sa gaya woh humara sapna
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Rohit! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|