|
tere hone se badh kar tujhko humne paaya hei
tere na hone par bhi tujhko humsaaya banaya hei
tu ish tarah se dil ki gehraayi mei utar gaya hei
na paaya hei kabhi tujhko phir bhi apnaya hei
apne paas har pal tere hone ka ehsaas aaya hei
na tu aaya kabhi paas tujhko phir bhi paaya hei
wafa mei duub ke jabh dil ishq mei nahaya hei
har pal mei humne tujhko dil se bulaaya hei
dil ki kami ka kabhi ehsaas ho nahi paaya hei
jabh jabh apne sapno mei tujhko humne laaya hei
Dt. 26 / 10 / 2007 - 11:00 PM (Indian Time)
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Ritu Roy! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|