Kyun Insaan Sudar Nahi Jaata?

 

 

 

kyun ye insan sudar nahi jata?
hasne ke liye hai auro ko rulata!
matlab tak saath dekar ,phir ye chod jata?
kyun ye insaan sudar nahi jata?
kehta hai mol rupaye ka, har shaks mujhe hai chahta yaha!
mujhe pane ke liye tadap raha, kahi fakir kahi raja yaha!
kabhi jodta haath mandir me,kabhi namaaj padh aata!
maang khuda se apni barkath,naye ashiyane ye banata!
mera tera karte karte saari umar ye guzarta!
kyun ye kissi bhuke gareeb ko khana nahi khilata?
karmo ke iss bandhan se koi nahi bach pata!
dekar hisaab apna apna har koi yaha se jata!
kyun ye insaan sudar nahi jata?????

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Puneet Bhutania!
Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Graphics & Background © Nightfire Graphics

 

Back to Poet's Index

 

Email the Poet

 

Back to Main Page