|
chandni se chamakti in raahon mein
unche darakhton ki narm chhanv mein
bas tumko is tarhaa se sochtaa hoon mai
jaise tum shamil ho, meri in nigaahon mein
sab kuchh bhalaa bhalaa sa hai
yaa sab kuchh badlaa sa hai
yeh dhoop zyada chamkeeli hai
yaa ki sona pighlaa sa hai
yeh sab kuchh kya tumse hai
hosh jo mere gum se hai
yeh nashaa sa mujhko kyon hai
koi poochhe to kya bataaoon mai
kya sach mein tum shamil ho, meri in nigaahon mein
dil ke naazuk haalat hai
sab yeh naye jazbaat hai
mai to bas hairaan hoon
yeh kaunse din raat hai
yeh kya hai tumhein pataa bhi hai
yeh dorr kya tumne baandhi hai
mere kadam tumhaari raah pe hai
inhein kaise rok paaoon mai
ab to mujhe bataa do na, kya tumhi ho meri nigaahon mein?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Prashant Shrivastav (Prash)! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|