|
tanhaai mein kuchh is tarhaa se basar ho rahaa hai
sard fizaaon mein angaaron se guzar ho rahaa hai
sab thhukraate hai, is tanhaa tanhaai ko
mere saath to tanhaai ka ek ghar ho rahaa hai
meri tanhaaiyon ke saath unki mehfil jawaan hoti hai
dekhiye sachchee duaaon ka asar ho rahaa hai
jaagti hai shab bhi meri khaamosh aanhon ko sunkar
ummed hai wo bhi chhup ke neend mein ro rahaa hai
uske chaman ko maine apne khoon se seencha tha
ab wo mere waaste kuchh khanzar bo rahaa hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Prashant Shrivastav (Prash)! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|