|
Apne khwaabon se ek mulaaqaat chaahta hu
jab chand poora ho, aisi ek raat chaahta hu
yahi ab zindagi ki aakhri aarzoo hai meri
un aankhon mein apne jazbaat chaahta hu
jise jaankar use mujh par kabhi naaz ho sake
apne andar aisi hi koi baat chaahta hu
meri aankhon mein tum raho, yeh khwaab hai
yaa youn kahu, apne liye kaaynaat chaahta hu
bahut lambi hai fehrist armaanoN kii
bas ye samjho, mai tumhara saath chaahta hu
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Prashant Shrivastav (Prash)! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|