|
Be-wafaa'oN se dil lagaa baiThe,
Hosh ham apne yuN gaNwaa baiThe..
Ham ko palkoN peh kal biThaayaa th`aa,
aaj naz^roN se woh giraa baiThe..
Ham ne Gham jab bhee dekhe auroN ke,
saare Gham apne ham bhulaa baiThe..
Aisee raaheN haiN is muHabbat kee,
Khud ko ham Khud se hee ch`upaa baiThe..
Un se chaahee wafaa kee jab sauGhaat,
apnee naz^roN ko woh ph`iraa baiThe..
Jaane kya kya khata kiya hamne,
wo dil pe chhuuriyaaN chalaa baiThe..
Muflisee meN woh aaYe to 'Mayank'
apne zaKhmoN ko hee sajaa baiThe
-----------------------
Muflisee: Garibee,poverty
Saja: docorate, sajaana,
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Mayank Bansal! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|