|
hum unse khafa hain,woh humse khafa hain,
magar baat karne ko ji chahta hain....
labo pe gussa hia, aankho mai pyaar hai,
fir bhi baat karne ko ji chahta hain...
didar unka mushkil hai,labz khamosh hai,
fir bhi baat karne ko ji chahta hain...
nafrat woh karte hai,andaz ye pyaar ka hai,
fir bhi baat karne ko ji chahta hain...
leke dil mai ek aas,kafan leke soye hai,
fir bhi baat karne ko ji chahta hain...
maqbare pe hamare aaj woh aaye hai,
fir bhi baat karne ko ji chahta hain.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Khushi ! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|