|
mein khab hoon e-dost mujhse pyar na kar ...
mere liye dil ko yun bekarar na kar ..
ankhein khulleygi to haath kuch na aayega ..
dil mein bas ek dard reh jayega....
tere ansoon hain anmool mujhpe un na lutta..
mujhey yun apna karazdar na bana....
yeh karaz chukkana mushkil hoga..
tujhey bhool jana mushkil hoga..
yun rahein rahey manzil rahey ...
par shayad is safar pe jana mushkil hoga...
mujhko tera pyar pana mushkil hoga..
tujhko bhool jana mushkil hoga..
soocha hai hal ki tu bhool ja muhjey ..
shayad teri yaad phir na satayey...
bhool ja mein tha bhi kabhi...
shayad tu tab mujhey bhi yaad na aaye...
yeh mod ajeeb hai..rasta ajeeb hai..
kyun isspey chalna hi mera naseeb hai..?
zindagi mein na sahi is rastey pe saath to de..
aye yar mere ab haath mein haath to de..
mein khawab hoon mujhey pyar na kar ...
yun dil ko apney bekarar na kar..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Karan! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
|