Khawabo Ka Mahel

 

 

 

Ek khawabo ka mahel humne bhi sajaya tha  
ek chota sa ghar humne bhi banaya tha  
 
Aangan mein do kaliya sundar bhaag ko mehkayegi  
yahi soch kar humne phoolo ko khilaya tha  
 
Chand sitaro si roshni ki khawahish mein  
humne khud ko shama ki tarha bhi jalaya tha  
 
Chote chote armaa the nayi nayi umaange thi  
kya kya soch kar mein es basti mein aaya tha  
 
Bas mukammal hi hua tha sapna mera  
Aur tabhi na jaane kaha se ek tufaan aaya tha  
 
Ek pal mein kaise dekho aashiya ujda  
jis ko kishto mein KAMSIN ne baade pyar se basaya tha

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Kamsin!
Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Graphics & Background © Nightfire Graphics

 

Back to Poet's Index

 

Email the Poet

 

Back to Main Page