|
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya, Khali hi sahi haathon me jaam to aaya. Main hoon bewafa sabko bataya usne. Yun sahi,uske labon pe mera naam to aaya. Ishq kiya main usse har hadd se jyada, Ishq na sahi,par dard wo tamam to aaya. Tu to meri ho na saki is janam me kabhi, Tu na sahi,paas maut ka mukaam to aaya. Jeete ji mera ishq to humesha se tha nakara, Maut pe sahi,uski khushi ke kaam to aaya. Jeevan bhar sabne kiya mujhko "ghayal", Janaze pe sahi,saath mere aawaam to aaya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Ghayal Shayar! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|