|
waqt rehte sambhal jaao tum,
kalko jaane kya fasaane ho.....
sabko kyunkar ye gumaa rehta hai,
gam ki her shaam guzar jaani hai.
kya pata waqt ko hi thehar jaana ho.....
her ada mein zaher hai shaamil,
behtari isme hai ke khud pe qaabu ho.
rokna dil ko na diwaana ho.....
mere dushman hai kaun log bhala,
mujhko sab apna kaha phirte hai.
kya pata,apna hi koi begaana ho.....
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Farid Ahmad Aks! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Talk To Site Admin
|