*~*Aaj Phir Us Bewafa Ka Khyaal Aaya*~*

 

 

 

Chandni raat thi...aankhon mein na neend thi na kisika intezaar tha...na dil bechain tha na ise koi karaar tha...yuhin panne palat rahi apni kitaab ke...ke nigahon mein ek kohra sa chaa gaya...dhadkane tez hogayi... jis kal se koso door bhaagna chahti thi wahi kal meri aankhon ke saamne tha.
---------------------------------------

Dil ko rona,rooh ko khudpe afsos aaya,
Aaj phir us bewafa ka khyaal aaya.

Khamosh lab aur sukhi ankhein thi,
Unke khayalo se phir ek sailaab aaya.

Dil ne unko kai baar bhulana chaha,
Jitna bhulaya woh aur yaad aaya.

Kya kami thi mere husno-ishq mein,
Kyu us sangdil ne mujhe itna sataya.

Meri ankhon mein bas wohi base the,
Phir kyu nahi unhone mujhe apnaya.

Wo kehgaye the ke mein launt aunga,
Ek arsa beeta hai wo ab tak na aaya.

Ek din intezar me unke yuhi baithi thi,
Dil jhum gaya tha jo unka khat aaya.

Us kagaz me khushiyaa dhund rahi thi,
Haath mere bas lamba intezaar aaya.

Kitni asani se likhdia ke mujhe bhulado,
Kyu unko mujhpe koi taras na aaya.

Jis rishte ko itne armano se banaya tha,
Use khatm karne ek kagazka tukda aaya.

Bada yakin tha apne mazboot pyaar pe,
Ek kagaz ne use kitna kamzor banaaya.

Koi rishta mazbut nahi hota 'farhana',
Is sach ka usne mujhko ehsaas dilaaya.

Bhul rahi hu unko mujhe iska guma tha,
Khat dekhte sara manzar nigaho me aaya.

Dil ko rona,rooh ko khudpe afsos aaya,
Aaj phir us bewafa ka khyaal aaya..

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Farhana!
Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Graphics & Background © Nightfire Graphics

 

Back to Poet's Index

 

Email the Poet

 

Back to Main Page