*~*Woh Abh Mujhse Bada Khafa Khafa Saa Rehta Hai*~*

 

 

 

Kehte hain waqt ke saath rishte thoda aur mazboot banjaate hain..par kabhi kabhi naseeb bhi ajab mazaak karta hai..jinhe hum jaan se badhke chahte hain woh hamare paas rehke bhi door hojate hain.tab har lamha dil khoon ke aasu rota hai.marna chhata hai par maut bhi nahi aati hai.
---------------------------------------

Woh abh mujhse bada khafa khafa saa rehta hai,
Jaane woh kya mujhe is band zubaan se kehta hai

Ik Arsaa hai beeta nahi milti hai mujhe kyun raahat
Shab-o-roz ab tifl-e-ashq meri aankh se behta hai
Woh abh mujhse bada khafa khafa saa rehta hai
Jaane woh kya mujhe is band zubaan se kehta hai..

Dil lagaaya tha meine unse kay kuch gunaah kiya
har ik lamha mera masoom dil tera zulm sehta hai
Woh abh mujhse bada khafa khafa saa rehta hai
Jaane woh kya mujhe is band zubaan se kehta hai.

Kitna chaaha magar sunta hi nahi woh mere sawaal
Na kuch woh sunta hai na kuch woh kabhi Kehta hai
Woh abh mujhse bada khafa khafa saa rehta hai
Jaane woh kya mujhe is band zubaan se kehta hai.

Bhalaa ye Zindagii bhi aise kabhi basar hoti hai
Har ek pal mein yeh dil kuch aur zakhm sehta hai
Woh abh mujhse bada khafa khafa saa rehta hai
Jaane woh kya mujhe is band zubaan se kehta hai.

saasein baki hain par himmat khatm si hui lagti hai
aise aalam me bas Ehsas-e-fana ka saath rehta hai
Woh abh mujhse bada khafa khafa saa rehta hai
Jaane woh kya mujhe is band zubaan se kehta hai.

Woh abh mujhse bada khafa khafa saa rehta hai
Jaane woh kya mujhe is band zubaan se kehta hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Farhana!
Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Graphics & Background © Nightfire Graphics

 

Back to Poet's Index

 

Email the Poet

 

Back to Main Page