|
Aaj,
na jane kitne dino baad ,
aaya hai mujhko yaad ,
woh din phir ek baar ;
jab mujhe kisi ankiye gunah ki,
saza dene ko ,
vivashta rupi sipahi ne ,
shuque ki buniyaad par,
kiya tha giraftar.
yaad hai mijhe
aaj bhi woh shahar ,
jahan main quaid thi
ek aise karagaar mein,
jiske khule the saare dwaar.
jahan gujare maine
na jane kitne din ,
hafte, mahine, aur saal.
jahan har din main mar kar jiti thi ,
kabhi marti thi pal mein hazaron baar.
aaj,
na jane kyon
ek baar phir usi din ki yaad aayi hai.
achchha samjhi ,
shayad aaj ke din
hone wali meri rihai hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Anjaly Singh! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|