|
Chaman tum ho bahar tum ho,
jeene ka aadhar tum ho,
siva tere kaun apna ,
mera to sansaar tum ho.
Chand tum ho chandani tumhi ho,
diya tum ho roshani tumhi ho,
tum ho dil dhadkan tumhi ho,
saans tum jeevan tumhi ho.
Har khushi, har gam bhi tum ho
humsafar humdum bhi tum ho,
bhav tum,kavita bhi tum ho
lahar tum, sarita bhi tum ho.
sneh mein, har daah mein tum,
manjilon mein, karvan mein,
safar mein, har rah mein tum.
Shokhiyan tum, sadagi tum,
cheekh bhi tum, maun ho tum,
par mujhe itna bata do
aei agochar kaun ho tum ?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Anjaly Singh! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|