|
samandar ki lehroon pe tanha chand ka aks hay
phir wohi raat hay,usay aaj milnay aana hoga
----------------------------------------------------------------
qaatil nagahaon k isharay woh chupaye rakhti hay
ghayal hoon yeh soch k,us se aaj saamna hoga
----------------------------------------------------------------
sah jaaonga hans k naya vaar per shart yeh hay
puranay zakhamoon pe usay marham lagana hoga
----------------------------------------------------------------
keh k tanha mujhe chaand bhi sehar se ja mila hay
rait pe lekhay tere naam ko aaj phir mitana hoga
----------------------------------------------------------------
Amaan,kaise usko mulzim-e-bewafayi kahsakta hay
saza hay yeh meri, koi gunnah mera purana hoga
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Aman Jee! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|