|
beth k pehlo mein apnay aanchal ki hawa de mujh ko
thak chuka hoon hijar k safar mein,sahara de mujh ko
----------------------------------------------------------------
sun k teri bhi ankhain chalak parain shidat-e-ghum se
kaash khuda aisaa bhi koi kalaam nawaaz de mujh ko
----------------------------------------------------------------
gar mujrim hoon tera tu samjha hay tujhe munsif apna
mere har nakarda ghunnah ki saza aaj suna de mujh ko
----------------------------------------------------------------
nahi hay shikwa koi mujhe tujh se aay wafaa ki devi
wafaa kia hoti hay aaj bas itna bata de mujh ko?
----------------------------------------------------------------
hanstay muskaratay zahar bhi pee jaayega Amaan
shart yeh hay k tu bahaon mein jo sanbhalay mujh ko
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Aman Jee! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|