|
kuch batain mazi ki woh guzra howa zamana
woh bahar ka mausam woh tera yoh khilkilana
----------------------------------------------------------------
us baag k gooshay mein humara milna milaana
takraar janay ki karna aur phir meri marzi se jaana
----------------------------------------------------------------
uss bhoolay chehray ki taazgi se phooloon ka mehkna
bheegi shabnam ka sharmana aur kaliyoon ka muskarana
----------------------------------------------------------------
chehray se apnay un kaalay gaisoo`n ko hataana
us per chaand ka badaloon mein kahi chup jaana
----------------------------------------------------------------
thi woh piyari si soorat woh mohni si moorat Amaan
tha jis k dum se tera yeh hara bhara aashiyaana
----------------------------------------------------------------
hay wohi baaqh per nahi woh guzra howa zamana
raha muqadar har ek pattay ka khiza ka taraana
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Aman Jee! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|