|
purnoor chehra ki chaandni dekh kar
chaand bhi aaj tujh se sharmaya hay
----------------------------------------------------------------
tere chehray ka husan-o-jamaal dekh kar
hum ne bhi aaj yeh raaz paya hay
----------------------------------------------------------------
apne chaand ko KHUDA ne daag day kar
mere chaand ko bay daag banaya hay
----------------------------------------------------------------
tere un kaalay naainoon main doub kar
tera saajan ab tuk ubhar na paaya hay
----------------------------------------------------------------
saansoon ki khusbu main teri, naha kar
dharkanoo main teri ghar basaaya hay
----------------------------------------------------------------
karti hay jo aitebaar mujh per tou aur kar
k Amaan bhi kisi aur ka na ho paaya hay
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Aman Jee! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!