|
Din guzar jata hay is duniya k Jhamailay main
Per Dil dooub jata hay raat k sanaatay main
----------------------------------------------------------------
Teri yaadoon k diyee Jala ker uthatay hain qadam
Tere ishq k raqs main chal dete hain MAIKHANAY main
----------------------------------------------------------------
Isqadar bekhudh kardeta hay tere tasawur ka nasha
k Saqi ko pal bhi nahi lagta humain behlanay main
----------------------------------------------------------------
Ab pee jaa in Aayam ki Talkhi ko Amaan
Tu ne chori hay kabhi paemanay main?
----------------------------------------------------------------
Dost uthaatay hain Sahara daykar
k tera kia jata hay ghar janay main
----------------------------------------------------------------
Awaz detay hain hum sur ko jhuka ker
Aay Saaqi tera kia jata hay Pilanay main
raat hay baqi waqt hay abhi Subah aanay main
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Aman Jee! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|