|
bin samjhaaye hum koi baat samjhtay nahi
aur aap haiN k humari booli parkhtay nahi
khulay aasmaaN meiN rehna shaan humari
in bund pinjarooN se humaray rishtay nahi
baandh k par tum humain jahan karlo qaid
per iss tarah azaadi k maslay suljhtay nahi
do gay humko dana paani rakhoge khiyaal
per hum aisay kisi k ghar mein rehtay nahi
aay bulaanay waalay tera behud shukariya
per hum azaad panchii kahi.n utartay nahi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Aman Jee! Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|