Bund Gali

 

 

 

ghungroo se bhari yahaN ek basti hay
jahaN naachti hoyi har ek hasti hay

raat ki shiyaai meiN angraayi leti
tablay ki thaap pe tharakti masti hay

idhar har ek chobaray ki chokhat per
tareeki se bhari bethi ek pasti hay

yahaN ka bazaar hay duniya se alag
chaaro oor bin mangay maya barasti hay

nayi raat nayi chadar naya rishta lye
yahaN khul ker shaitaniyat hansti hay

darinda tu chale sair ho k apne shahr ko
pichay koi sachay rishte ko tarasti hay

pait ki khaatir pait howa aayaaN uska
uski haya uski majboori se sasti hay

lubhaye muskaye woh tamaash beeno ko
yeh zindagi uss ki rooh ko dasti hay

Amaan yeh jagah hay ghum k marooN ki
milti yahaN khushi bari hi sasti hay

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Amaan Jee!
Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Graphics & Background © Nightfire Graphics

 

Back to Poet's Index

 

Email the Poet

 

Back to Main Page