BILA UNWAAN

 

 

 

kyon liye betha hay ab apne dard-e-dil ko
haari zindagi apni, jalaaya hay khudh ko
bohat magan tha sapnoo ki duniya mein
sad afsoos haqeeqat mei mila kiya tujh ko

chal uth aur dekh iss duniya k ghum ko
daingay kuch dawa yeh tere iss dard ko
k nahi hay tu tanha dukhi is duniya mein
tarsay hain kitnay yahan 2 pal k sukh ko

kitnay hain yahan muntazir kisi saharay ko
jee rahaye hain khoo k apnay piyaaroon ko
jala umeed ki shama un kay gharaanoo mein
bana lay humraahi apna ab inhi loogoon ko

ban k roshni dour kar un k andheeroon ko
barh k laga galay apnay ab unki gareebi ko
dhoondh sukh-o-chain un makeenoo mein
kar aabad unki duaon se apne kashanay ko

ishq mefhil-e-aish-o-aram ne diya kia tujh ko
sanbhal jaa aur samjh le iss bereham waqt ko
nahi koi haasil iss faani duniya k melay mein
kar kuch bhalay kaam sudhaar apni aaqbat ko

gali gali kahaye "Amaan" ab yehi har aadam ko
doosroon k liye waqf karo apni iss zindagi ko
baantoo ghum sabhi k sukh rakha hay issi mein
yeh mat sooch k mila kiya badlay mein tujh ko

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Written By Aman Jee!
Copyrights reserved to www.shayeri.net & writer!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

Graphics & Background © Nightfire Graphics

 

Back to Poet's Index

 

Email the Poet

 

Back to Main Page